सूरत के लीजेंडरी जय जलाराम रसावाले खमण, अडाजण Surat's Legendary Jai Jalaram Rasawala Khaman, Adajan
Автор: Surat101
Загружено: 2022-02-03
Просмотров: 22046
Описание:
सूरत के लीजेंडरी जय जलाराम रसावाले खमण, अडाजण | Surat's Legendary Jai Jalaram Rasawala Khaman, Adajan
Sunday ka din ho, nashta bhi karna ho, kuch teekha aur masaledar bhi khana ho aur pet mein lunch or dinner ke liye jagah bhi rakhni ho to rasawala khaman best hain. surat mein shayad hi koi milega jo khaman ki iss variety ko na janta ho. agar me ye kahu ke fast food ki history mein surat ka rasawala khaman ek milestone hain to ye galat nahi hoga. balke khaman ki iss gravy wali variety ne logo ko apna diwana bana diya hain. agar aap surat mein hain aur rasawala khaman miss kar diya to fir apne kya hi khaya. kyun na aap or me milkr aaj ise taste kare? to chaliye fir shuru karte hain. mein hu vijay aur aap dekh rahe hain surat101.
rasawala khaman sun kar sirf ek hi naam zehen me ata hain aur vo hain jai jalaram. yakeen maniye jalaram bappa ki in logo par vishes kripa hain. inn logo se mera matlb hain bharat bhai aur unke bhai jo ye famous rasawala khaman pichle kai salon se banate aa rahe hain. shuruvat inki mataji ne ki thi aur ab bharatbhai aur unke parivarwale iss legacy ko age badha rahe hain. ab jalaram bappa ki inn par vishesh kripa kyun hain vo apke boht jald pata chal jayega. aaj ke video ki shuruvat karte hain rasawala khaman ki hot n spicy gravy se.
Besan ka ghol iss gravy ka base hain. Karib 4 se 5 tarah ki dal ka istemal kiya jata hain aur kai sare masale bhi is gravy ko taiyar karne me lagte hain. Bade bartan mein tez aanch par ise itne badhiya tarike se pakaya jata hain ke aap ek bar nahi barbar lagatar ise khaoge. Gravy banne ke baad bartan ko sidhe hi counter pr le jakar garam garam hi serve kiya jayega. Zahir si baat hain thandi hone par ye gravy thick ho jayegi aur apko khane me vo zaika vo maza bhi nahi ayega.
gravy banane ki shuruvat early morning mein hi ho jati hain kyunki ise banne mein waqt lagta hain. iss gravy ki khasiyat hain iska teekhapan. mtlb ye itni hot n spicy hain ki apke sharir ke sabhi dwar darwaze khol degi. balke agar apko sardi ya zukam hai ya fir naak band hain to bs yaha aa jayein or ek plate garma garam rasawala khaman kha llijiye. apki sardi gayab aur naak se pani ese bahne lagega jese nal khula chod diya ho. ye nazara boht hi aam hain. log yaha apni naak pochte jate hain aur khate chale jate hain. dusri khaas baat ye hain ki ye gravy itni spicy hone ke bawazood apko koi nuksan nahi karti. mtlb aap bindaas do char plate aaram se dakar sakte hain.
hum jahan abhi majood hain vo hain jai jalaram rasawala khaman ki adjana branch. aur yahan ka management bharatbhai ke ladke devang aur unke chotebhai karte hain. inki sabse purani aur main branch chok bajar mein hain jahan se iss legendary rassawala khaman ki shuruvat hui thi. balke yun kahe ke inki mataji ne shuruvat ki thi. tisri sabse khas baat iss gravy ki hain iska uniform taste. surat mein rasawala khaman teen jagah milta hain ek to yaha, dusra chok bazar aur tisra LPsavani. aur aap inn teeno mein se kisi bhi jagah iss gravy ko taste kariye. apko swad mein koi fark nahi milega. mtlb roz ek hi gravy teen alag alag jagah banti hain fir bhi zara sa bhi fark nahi taste mein.
Rasawala khaman ka rassa mtlb gravy to taiyar ho gayi. Ab bari hain khaman ki. Khaman ko chur chur krke isme rai ka tadka milaya jayega.. Barik kata hua dhaniya chhidak kr ise haathon se hi mix kiya jayega. Ye dekhiye pile raang ke khaman mein hare raang ka dhaniya kitna khoobsurat lag rha hain. Khaman ka mixture taiyar hone ke baad ise bhi counter par saja diya jata hain. Ab shuru hoga khane ka karekrum. Muje to ye sb dekh kr hi bhukh lagne lagi.
Khaman ka mixture, salad aur upar thodi si sev. Iss tarah se plate mein saja kar ready kiya jata hain. Jb customer ayein to garama garam gravy ko dal kr diya jayega. Mtlb khaman, gravy, salad aur sev ka combination ekdum kamal, dhamal, aur bawal hain. Bilkul ek number hain ye cheez. Agar apne jai jalaram ka rasawala khaman khaya hain to muje comment mein zarur batayein. Surat ke rasawale khaman ka craze itna hain ke log sunday ka wait nahi krte. Office jane se pehle, school ya tuition se ghar jate waqt bhi ek ek plate tika kr jayege.
rasawala khaman surat, rasawala khaman recipe, rasawala khaman surat recipe, rasawala khaman no raso recipe, rasawala khaman recipe in hindi, rasawala khaman banavani recipe, rasawala khaman street food, rasawala khaman banane rit, rasawala khaman kaise banaen, rasawala khaman dhokla recipe, rasawala khaman banane ki recipe, rasawala khaman banane ka tarika, rasawala khaman no raso, street food, indian street food, khaman dhokla, rasawala khaman, surti khaman, surti food, gujarati food, nylon khaman, surat khaman, surat khaman recipe, gujarati street food, gujarati street food recipe, dhokla street food, street dhokla recipe, live dhokla street food, sev khamani recipe, street food india, surat, live dhokla street food recipes, surat na rasawala khaman recipe, jalaram rasawala khaman surat gujarat, jay jalaram rasawala khaman surat gujarat
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: