If you want to know Allah is pleased with you or not then watch this video | Aashna khan official
Автор: Aashna Khan official
Загружено: 2024-09-02
Просмотров: 65393
Описание:
Assalamu Alaikum! Aaj ki video mai hum discuss karenge woh 4 signs jo yeh dikhate hain ke Allah aapse raazi hai. Yeh signs humare aamaal aur humare ravaiya ko reflect karte hain, aur agar yeh aapke zindagi mai hain, toh samajh jaiye ke Allah ka special favour aapke saath hai.
1. *Allah ne aapko kin kaamo mai busy kar rkha hai* - Jab Allah kisi se raazi hota hai, toh woh usse aise kaam mai mashgool kar deta hai jo usko pasand hai. Yeh kaam chhote ya bade ho sakte hain, lekin har kaam mai Allah ki raza shamil hoti hai. Kya aap apni zindagi mai aise kaamo mai busy hain jo Allah ki marzi ke mutabiq hain? Agar haan, toh yeh ek bara sign hai!
2. *Aap uski taqdeer pai kitna raazi hain* - Allah se raazi rehne ka ek aur sign yeh hai ke aap uski taqdeer pai bilkul raazi hain. Aapko jo bhi halat milti hai, aap usse tasleem karte hain aur Allah ki hikmat par pura yaqeen rakhte hain. Yeh sabr aur shukr ka aik aala darja hai.
3. *Maa baap ki farmabardari* - Allah ke raazi hone ki nishaniyo mai se ek yeh hai ke aap apne maa baap ke farmabardar hain. Unki khidmat karte hain, unki izzat karte hain, aur unki duaon ka haqdaar bante hain. Maa baap ki dua se zyada qeemati cheez koi nahi hai!
4. *Logon kai dilo mai Aapki muhabbat* - Jab Allah kisi se raazi hota hai, toh woh uski muhabbat logon ke dilon mai daal deta hai. Aap dekhte hain ke log aapko izzat se dekhte hain, aapki baatein sunte hain, aur aapke liye apne dil mai mohabbat mehsoos karte hain. Yeh sirf Allah ka fazl hai.
Yeh chaar signs aapke liye ek rahnuma hain, agar aap inhe apni zindagi mai payenge, toh yeh samajh lijiye ke Allah aapse raazi hai.
#signs #molanatariqjameel #allah #AllahSeRaazi #DeenDuniya #Taqdeer #Mohabbat #IslamicMotivation #SignsOfAllah #SabrAurShukr #AllahKiRaza #IslamicInfluencer"
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: