Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon - Old Nauha from Lucknow - Anjuman Nasir ul Islam
Автор: Old nohay with wording
Загружено: 2019-10-07
Просмотров: 974
Описание:
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Old Nauha from Lucknow
Kalaam: Janaab Tayyab Sahib
Recited by: Anjuman Nasir ul Islam
=========
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Mujhe mare tamache goshware bhi mere chheney
Kisi zalim ne itna bhi na soocha main Sakina hoon
Bula ke phir mujhe eik baar seene se laga leejiye
Sakina hoon Sakina mere Baba main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Ali Asghar ko jaam e aab Dada se mila hoga
Magar mujhko abhi rahna hai pyaasa main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Ali asghar sukooN se aap ki aagosh mein hoga
Mujhe ab aap hi de deejea sahara main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Suna hai qaid ho ke shaam ke zindan meiN jaana hai
Abhi guzregi mujhpe jaane kya main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Zameen e garm par Tayyab* tan e besar tadapteN thay
Sada deiti thi binte Shah e Wala main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Following not recited
Phupi ki goad mein neend aayegi kis taraha mujhe
Mujhe yaad aaye ga seene pe sona main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Mere Ammu se kah deejea tarai se chale aayeN
Karoongi ab nahiN paani ka shikwa main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
Bula leejiye mujhe aagosh mein Hum Shakl e Paighambar
Bahen hoon aap ki ai mere Bhaiyya main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon
============
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
https://archive.org/details/BayaazOfO...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: