The Ultimate Food Trip: Hyderabad to Karachi | Non-Stop Masti aur Raqs! 🕺🔥
Автор: With Yameen Arain
Загружено: 2026-01-05
Просмотров: 9
Описание:
Asalam-o-Alaikum dosto! Aaj ka vlog koi aam vlog nahi hai, ye hai APS (Federal Board) ke saare "Foodie" teachers ka dhamaal trip! Hum ne is trip ko naam diya tha "The Food Trip" aur yaqeen manein hum ne naam ka haq ada kar diya.
Is Trip ke Hero Members: Sir Yameen, Sir Ahmed Adil, Sir Abdullah, Sir Salman (Sec Head), Sir Naveed (Mufti Sahib), Sir Taimoor, Sir Ali Bux, Sir Jahanzaib, Sir Jawad, Sir Asad aur Sir Haris.
Trip ki Kahani:
Hyderabad: Shuruat hui Al-Fajr ke mazedar khane se.
Nooriabad: Al-Asar ki kadak chaye.
Karachi Lal Qila: Yahan toh bas khana hi khana tha! Khoob photoshoot aur vlogs bnaye.
Special Mention: Hmare Mufti Sahib full "Young Boy" ke get-up mein aaye thay, dekh kar sab hairan reh gaye!
Dolmen Mall: Shopping ki aur jab pet phatne wala tha toh cold drink se guzaara kiya. Aur haan, hum "Dil ke ghareeb" chaye pine mall se bahar Pathan ke hotel hi gaye! 😂
Port Grand: 1000 ka ticket liya aur phir wahan bhi khaya! Wahan Sindhi music baja toh main (Sir Yameen) khud ko rok nahi paya aur khoob raks kiya.
Wapsi: Highway pe Sada Bahar Restaurant ki akhri chaye aur phir ghar wapsi.
Ye ek kabhi na bhoolne wala "Yaadgaar Tour" tha. Video dekhein aur enjoy karein!
#WithYameenArain #APSTeachers #FoodTrip #LalQilaKarachi #PortGrand #SindhiDance #MuftiSahib #KarachiVlog #TeachersLife #FunnyVlog #DailyVlog #HyderabadToKarachi
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: