Para 22 Quran Khulasa | Azwaj e Mutaharat, Momineen Ki 10 Sifaat, Parda Aur Durood Sharif Ki Fazilat
Автор: Molana Usman Speeches
Загружено: 2026-03-12
Просмотров: 2382
Описание:
Aaj ke dars mein Para 22 ka mukhtasar aur asaan khulasa bayan kiya gaya hai. Is para ke shuru mein Allah Ta'ala ne Azwaj e Mutaharat (Nabi ﷺ ki pak biwiyon) ko khas hidayaat di hain ke woh apni zindagi mein haya, taqwa aur itaat ka behtareen namoona ban kar rahen.
Is para mein ek momin ki 10 aham sifaat bhi bayan ki gayi hain jo uski shakhsiyat ko muashray mein numaya karti hain: Islam, Imaan, Qunoot, Sidq, Sabr, Sadaqah, Roza, Hifazat e Farj, aur Kasrat e Zikr.
Isi para mein Nabi ﷺ ki fazilat, Durood Sharif ki ahmiyat, aur Muslim aurton ke liye parda ke ahkam bhi wazeh kiye gaye hain. Saath hi Hazrat Dawood (AS) aur Hazrat Sulaiman (AS) ki shukar guzari aur Qaum e Saba ki nashukri ka waqia bhi bayan kiya gaya hai.
Aakhir mein Allah Ta'ala ne bataya ke Ummat e Muslima ke teen qisam ke log honge lekin Allah ki rehmat se sab ke liye jannat ki basharat hai.
Agar aap Quran ke har para ka asaan khulasa seekhna chahte hain to video ko poora dekhein aur share karein.
Para22
#QuranSummary
#QuranKhulasa
#DarsE Quran
#IslamicReminder
#AzwajEMutaharat
#PardaInIslam
#DuroodSharif
#QuranStudy
#IslamicKnowledge
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: