Mardan Ka Badayuni Pera: Queen Elizabeth Wanted This Sweet Maker In UK! | Historical Food
Автор: Saga Digital AI
Загружено: 2025-12-19
Просмотров: 577
Описание:
Khyber Pakhtunkhwa ke dosre bare shehar Mardan mein Badayuni Pera banane wale dukandar Ahmar Mahmood ke mutabiq, jab Bartania ki Queen Elizabeth II Pakistan aayin to unke walid Mahmood Ali Khan ne Malika ko Badayuni Pere ka tohfa diya. Isay chakh kar Malika itni mutasir huin ke unhon ne unke walid ko Bartania chalne ki dawat de di taakay yeh zaiqa wahan bhi mutarif karaya ja saky.
Ahmar Mahmood kehte hain: 'Mere walid ne Pakistan mein hi rehna pasand kiya.' Unhon ne bataya ke unke walid Taqseem-e-Hind ke waqt India ki riyasat Uttar Pradesh ke shehar Badayun se hijrat kar ke aaye thay, aur apne shehar ki yaad mein hi is dukan ka naam 'Badayuni Pera' rakha.
Saga Digital se guftagu karte hue unhon ne bataya ke yeh pera gaarhay doodh aur cheeni se tayyar kiya jata hai. Isay us waqt tak pakaya jata hai jab tak yeh sakht na ho jaye aur iska rang tabdeel na ho jaye. Aaj yeh pera na sirf Mardan balkay poore mulk mein tohfay ke tor par bheja jata hai.
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: