Give me just 60 sec's if you are Muslim
Автор: iBN E ABDUL HAMEED
Загружено: 2025-04-27
Просмотров: 3
Описание:
أَعـوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْـطانِ الرَّجيـم
بِسْـــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم
السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُه
Allah ﷻ ne Qur'an e majeed may irshad farmaya:
مُنِیۡبِیۡنَ اِلَیۡہِ وَ اتَّقُوۡہُ وَ اَقِیۡمُوا الصَّلٰوۃَ وَ لَا تَکُوۡنُوۡا مِنَ الۡمُشۡرِکِیۡنَ ﴿ۙ۳۱﴾
Word by word translation:
مُنِیۡبِیۡنَ — (Palat kar aane wale / rujoo karne wale / Allah ki taraf rujoo karte hue)
اِلَیۡہِ — (uski taraf / Allah ki taraf)
وَ — (aur)
اتَّقُوۡہُ — (uska taqwa ikhtiyar karo / usse daro)
وَ — (aur)
اَقِیۡمُوا — (qayam karo )
الصَّلٰوۃَ — (namaz ko / salah ko)
وَ — (aur)
لَا — (nahin)
تَکُوۡنُوۡا — (tum ho)
مِنَ — (mein se)
الۡمُشۡرِکِیۡنَ — (mushrikeen / shirk karne walon)
Full meaning:
"Allah ki taraf palat kar aane wale bano, aur uska taqwa ikhtiyar karo, aur namaz qayam karo, aur mushrikeen (shirk karne walon) mein se na ho jao."
(Surah no. 30 Al Rom ayat 31)
Yani namaz nahi padhna Allah ke nazdeek mushrik hona hai .
Aur sahih Muslim may hadees hai Nabi ﷺ ne farmaya:
«إِنَّ بَيْنَ الرَّجُلِ وَبَيْنَ الشِّرْكِ وَالْكُفْرِ تَرْكَ الصَّلَاةِ»
Word-by-word Translation:
إِنَّ — (Beshak)
بَيْنَ — (darmiyan / beech)
الرَّجُلِ — (aadmi / mard)
وَبَيْنَ — (aur darmiyan)
الشِّرْكِ — (shirk / Allah ke saath kisi ko shareek thahrana)
وَالْكُفْرِ — (aur kufr / inkaar ya na-shukri)
تَرْكَ — (çoṛ dena / tark karna)
الصَّلَاةِ — (namaz ko)
Full meaning:
"Beşhak aadmi aur şhirk aur kufr ke darmiyan sirf namaz çoṛne ka (faraq) hai."
( Sahih Muslim 246/ 82)
Yani jo namaz nahi padhta woh yaa to mushrik hai ya kafir
Aur jami tirmizi may Abdullah ibn shaqweeq (Tabai ) ka Qaul hai :
كَانَ أَصْحَابُ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، لَا يَرَوْنَ شَيْئًا مِنَ الْأَعْمَالِ تَرْكُهُ كُفْرٌ غَيْرَ الصَّلَاةِ
كَانَ — Kāna — tha / the
أَصْحَابُ — Asḥābu — sahaba (rafiq)
مُحَمَّدٍ — Muhammad — Muhammad ﷺ
صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ — Ṣallā-llāhu ʿalayhi wa sallam — Allah ki rehmat aur salam un par ho
لَا — Lā — nahi
يَرَوْنَ — Yarawna — woh dekhte / mante the
شَيْئًا — Shay'an — koi cheez
مِنَ — Mina — mein se
الْأَعْمَالِ — al-Aʿmāl — kaamon (a'maal)
تَرْكُهُ — Tarkuhu — us ka çoṛ denay / tark karna
كُفْرٌ — Kufrun — kufr (inkaar / disbelief)
غَيْرَ — Ghayra — siwa / illa
الصَّلَاةِ — as-Ṣalāh — namaz
Full meaning:
Sahaba kiram ( (Raziallauh anhum) ( namaz key siwa kisi amal key çoṛ deney ko kufr nahin samajhtey they .
(Jamai trmizi 2622)
Yani Namaz ko tark kar ke Aap id card may to muslim hogay lekin Allah ne nazdeek Aap mushrik aur kafiroon ki jamat may shamil hai islam
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: