Ya hayyo Ya qayyum without music | Vocal Only |
Автор: VOCAL ONLY
Загружено: 2024-10-04
Просмотров: 5208
Описание:
lyrics-
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
(nfak: Ya Rahim O Ya Rahman (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Aadil O Ya Dayyan (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Haafiz O Ya Sattar (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Wahid O Ya Ghaffar (Chorus: Allah)
Ya Maalik O Ya Razzaq Tu Khaali E Her Khallaq
Her Raaz Tujhe Malom
Her Raaz Tujhay Maloom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa.. (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
(nfak: Be-Misl Hai Tu La Raib (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Paak Hai Tu Be-Aib (Chorus: Allah)
(nfak: Khum Zeest Ka Hai Unwaan (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Shaakir E Har Udwaan (Chorus: Allah)
Teri Zaat Hai Azzo Jal, Tu Her Mushkil Ka Hal
Her Simt Hai Teri Dhom
Her Samt Hai Teri Dhoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
...(Qawwali Vocables)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Rehmat Ki Nigaahon Ka Ishara Maango
Dunya Say Koi Shay Na Khudara Maango
Dunya Ki Wafa Jhoot, Saharay Hein Faraib
Allah Say Allah Ka Sahara Maango
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa.. (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Mansab Ki Karo Chah, Na Sirwat Maango
Tum Ehl-E-Mohabbat Ho Mohabbat Maango
Her Haal Mein Thaamay Hoay Daamaan-E-Raza
Allah Say Allah Ki Rehmat Maango
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa.. (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Ker Dil Ko Ataa Sooz-E-Tawami Yaarab
Her Saans Ho Rehmat Ki Payami Yaarab
Orang-E-Shahee Ki Nahi Haajat Mujh Ko
Kaafi Hai Mohammad Ki Ghulami.. Ya-Rub!
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
...(Qawwali Vocables)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
(nfak: Wo Nabiyoon Ka Sardaar (Chorus: Allah)
(nfak: Her Aalam Ka Mukhtaar (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Saaz Hai Wo Aawaz (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Raaz Wo Mehram Raaz (Chorus: Allah)
Tu Lafz Hai Wo Farhang, Tu Haakim Wo Aurang
Tu Lazim Wo Malzom
Tu Laazim Wo Malzoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa... (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aadat Hai Meri Hadh Say Guzarna Yaarab
Aata He Nahi Mujh Ko The-Herna Yaarab
Herfa-E-Gada Maan-E-Karam Per Tere
Sharminda Sar-E-Hashr Mein Kar Na Ya-Rub!
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa... (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
(nfak: Mein Naqsh Hoon Tu Naqqaash (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Mul'im Mein Mein Qallash (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Aabid Tu Maabood (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Sajid Tu Masjood (Chorus: Allah)
Mein Jism Aur Tu Dam, Tera Zikr Ilaj-E-Gham
Kyun Dil Ho Mera Maghmor
Kiyoon Dil Ho Mera Maghmoor
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa... (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Mein Kia Hoon Mein Kiss Shay Ki Talafi Chahoon
Kia Baat Mein Fitrat K Manafi Chaahon
Kuch Paas Nahi Ashq-E-Nizamat K Siwa
Kiss Mo Say Gunahoon Ki Maafi Chaahon
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum
Aaa... (Sufi Chants)
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum...
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: