ESP32 Wi-Fi Modes Explained | How Wifi Mode works in ESP32
Автор: Circuit Solution
Загружено: 2025-08-19
Просмотров: 154
Описание:
ESP32 me Wi-Fi modes kaise kaam karte hain? Is video me hum detail me samjhenge ki ESP32 ke different Wi-Fi modes kya hote hain aur unka working principle kya hai. ESP32 ek powerful microcontroller hai jo IoT aur wireless communication projects me bahut popular hai. Iske andar in-built Wi-Fi module hota hai jo multiple modes me operate kar sakta hai jaise Station Mode, Access Point Mode, aur SoftAP + Station Mode.
Hum step-by-step dekhenge ki har mode ka purpose kya hota hai, kaise configure karna hai, aur kaunse real-life projects me kaunsa mode best hota hai. Station Mode me ESP32 kisi existing Wi-Fi network se connect hota hai jaise aap apne phone ya laptop ko Wi-Fi router se connect karte ho. Access Point Mode me ESP32 khud ek Wi-Fi network create karta hai jisme dusre devices connect ho sakte hain. Aur SoftAP + Station Mode me ESP32 ek hi time par network create bhi kar sakta hai aur kisi existing network se connect bhi ho sakta hai.
#circuitsolution #esp32 #wifimode
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: