Sandal Sharif | Ajmer Sharif Dargah | Saiyad Ahmad Bapu Qadri-Fatemi | Paigam E Haq
Автор: Paigam E Haq
Загружено: 2025-02-13
Просмотров: 3657
Описание:
Sandal Sharif | Ajmer Sharif Dargah | Saiyad Ahmad Bapu Qadri-Fatemi | #ajmersharif | #Paigam_E_Haq
-------------------------------------
Program : Sandal Sharif | Ajmer Sharif Dargah | Saiyad Ahmad Bapu Qadri-Fatemi
Date : 13-02-2025
Naat : Khairat Lene Aa Gaye Mangte Tumhare Khwaja, Khwaja Ne Bulaya Hai,
Naat Khwan : Mir Haji Nasiruddin Saheb
broadcast By : @Paigamehaq
City : SavarKundla
-------------------------------------
🌹 લાઈવ🌹
🆕પૈગામે હકક યૂટ્યૂબ
🕙 ટાઈમ-: 10:30 PM
📅તારીખ-: 13/02/2025
👉સ્થળ:- સાવરકુંડલા, ગુજરાત
👉પૈગામે હકકનું સંપર્ક કરો.
👉મૌલાના ગુલામમુસ્તફા (શહેર કાઝી - સાવરકુંડલા)
👉Welcome To Paigam E Haq Channel.
👉All kinds Of Islamic Event & Live Coverage Contact: +91 9687577867
-------------------------------------
👉PLEASE Like, Share, Comments And Subscribe
👉ઉપર આપેલ રેડ બટન પર ક્લિક કરીને ચેનલ ને સબ્સ્ક્રાઇબ કરે.
-------------------------------------
Like Facebook :
👉 / page.paigamehaq
-------------------------------------
Follow Instagram :
👉 / paigam_e_haq_
-------------------------------------
-NAAT LYRICS-
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Be yaar madadgaar tha koi na sahara
Bas doobne wala hi tha ke paya kinara
Khwaja ke karam ne meri kashti ko ubhara
Isyan ke bhawar se mere Khwaja ne bachaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Sagar pe anadaaron ne pehra jo lagaya
Paani na kisiko mile ye hukm sunaya
Irshad use Khwaja ka khadim ne sunaya
Bas hukm suna kooze mein sagar simat aya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Khwaja ki chati dhoom hai Ajmer nagar mein
Paai hai Madine ki jhalak Unke shaher mein
Hota hai yeh mehsoos hain Taiba ke safar mein
Barsaat mein rehmat ki har ek shaks nahaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Aabaad hai bharat ki zameen Unke kadam se
Eiman ki daulat bhi mili Unke karam se
Hai silsila Ajmer ka Taiba ke haram se
Mujhko mere Khwaja ne Madina bhi dikhaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Wallah Dar-e-Khwaja se bat'ta hai khazana
Aalam mein hai mashoor sakhi Unka gharana
Kyon gair se hum jake kahe gum ka fasana
Darbar-e-Shahinshah se jo manga hai paya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Ye sach hai mai aasi hun, nikamma hun, bura hun
Mangta hun Tera dar pe Tere aan pada hun
Hojae inayat Tere kadmon mein khada hun
Karte ho karam sab pe ho apna ke paraya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Main fir se Madine ki dua maang raha hun
Baghdad bhi jaane ka Visa maang raha hun
Yeh kisne kaha hadd se siwa maang raha hun
Jaisa hai sakhi waisi ata maang raha hun
Hoga bada ehsaan jo fir Taiba dikhaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Tehreek-e-Sunni Dawat-e-Islami ko izzat
Miljae mere shah hamesha ki ye khidmat
Ho naksh dilon par bhi Teri Mohr-e-Mohabbat
Ho Shakir o Rizwan pe hamesha Tera saya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Hai faqr mujhe qadri chishti hun mai raashid
In nisbaton ke sadqe sabhi dur ho haasid
Tehreek-e-Sunni Dawat-e-Islami ka qaasid
Akhtar Raza ke faiz se dar maine ye paya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
-NAAT LYRICS-
Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja
Bhardeejiye Daman Muraado Se Hamare Khwaja
Mere Khwaja Piya …….
Tunai Madad Gi Ha Madad Ha Madad Gi Tu Ne
Qurban Tere Jab Bhi Tarap Kar Hum Pukaare Khwaja
Mere Khwaja Piya …….
Mayoos Jata Hi Nahi Koi Tumhare Dar Se
Hum Ko Bhi Dai Hasnain Ke Sar Ka Utaare Khwaja
Mere Khwaja Piya …….
Mangto Ki Rakkhlai Laaj Karde Sab Muraade Puuri
Daman Pasare Aagaye Tere Tuware Khwaja
Mere Khwaja Piya …….
Deta Hu Tujko Waasta Ghawsul Wara Ko Mujko
Phir Masjid-E-Nabvi Ke Dikhlade Minaare Khwaja
Mere Khwaja Piya …….
Ye Jagmata Noor Barsata Ta Tumhara Rawza
Sharma Gaye Is Ke Aagayi Chaand Tare Khwaja
Mere Khwaja Piya …….
-------------------------------------
Notice: The purpose of this channel is only to convey good ideas to the people No, the purpose of the videos uploaded to this channel Hurt the feelings of an individualz, society, organization, or community No delivery.
-------------------------------------
COPYRIGHT NOTICE:
All rights of the video production is reserved for Paigam E Haq. You are not allowed to re-upload our video again on any platform without our permission, if you will do this, we will surely claim a copyright for every upload. You can only share this beautiful video.
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: