Nampally Fire : 4 Manzila Imarat, 2 Bachay Samet 6 Log Phans ne Ki Ittela | Rescue Operation Jari
Автор: Munsif News 24x7
Загружено: 2026-01-24
Просмотров: 6145
Описание:
#Munsif #MunsifNews #MunsifNews24x7 #MunsifDaily #MunsifHyderabad #MunsifIndia #TelanganaNews #hyderabadnewschannel
Nampally Fire : 4 Manzila Imarat, 2 Bachay Samet 6 Log Phans ne Ki Ittela | Rescue Operation Jari
Hyderabad ke Nampally area mein ek intehai khaufnaak aur pareshan kun haadsa pesh aaya, jahan ek furniture store mein zordaar aag lag gayi. Aag dekhte hi dekhte 4 manzila imarat mein phail gayi, jiske baad do kam-sin bachon samet 6 afraad ke phansay hone ki ittila’at saamne aayi hain.
Fire department ko ittila milte hi 10 fire engines mauqe par pohanch gaye. Ground floor se uthne wale ghane dhonay ki wajah se imarat ke andar maujood log bahar nahi nikal sake aur upper floors par phans kar reh gaye.
Rescue team JCB machines aur heavy cranes ki madad se phansay hue afraad ko mehfooz nikalne ki koshish kar rahi hai. Andar phansay logon ko saans lene mein shadeed mushkil ka saamna hai, jis par doctors aur officials bariki se nazar rakhe hue hain.
Isi dauran Hyderabad District Collector Hari Chandana bhi mauqe par pohanch gayin aur rescue operations ka jaiza lete hue afsaraan ko fori aur moassar qadam uthane ki hidayat di.
Ibtedai jaanch ke mutabiq, aag lagne ki wajah short circuit ho sakti hai. Nampally jaise tang aur ghane abaadi wale ilaakon mein fire brigade ki bro-waqt rasai hamesha ek bada challenge rahi hai.
Rescue operation abhi bhi jari hai, jabke bahar maujood family members duaon aur intezaar mein hain.
#HyderabadFire #Nampally #BreakingNews #FireAccident #RescueOperation #TelanganaNews #HyderabadUpdates #FireSafety #IndiaNews
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: