Bada Kathin Hai Raasta || Best Shayari || Urdu Couplets.
Автор: Urdu Couplet
Загружено: 2018-10-27
Просмотров: 596
Описание:
LIKE | COMMENT | SHARE | SUBSCRIBE
Bada kathin hai rasta, jo aa sako to sath do,
Yeh zindagi ka faasla, mita sako to sath do,
Barre fareb khao ge, barre sitam uthao ge,
Yeh umar bhar ka sath hai, nibha sako to sath do,
Jo tum kaho yeh dil to kya jaan bhi fida karoon,
Jo main kahoon bas ik nazar lutaa sako to sath do,
Main ik fareb be-nava, main ik faqeer be-sadaaa,
Meri nazar ki iltijaa jo paa sako to sath do,
Hazaar imtihan yahan, hazaar azmayeshen,
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako to sath do,
Yeh zindagi yahan khushi ghamon ke sath sath hai,
Rula sako to sath do, hansaa sako to sath do..
#Poetry#Sayings#Shayari2018
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: