URDU | 28 RAJAB SALAM NOHA | SAFAR IMAM HUSSAIN RAWANGI | THE EDUCATION & AZADARI CHANNEL
Автор: TEAC786
Загружено: 2022-02-28
Просмотров: 2760
Описание:
Karbala ko Hussain jaarahay hayn is an Urdu eulogy depicting the plight of the caravan of Imam Hussain a.s. on the day of his departure from Medina to Mecca enroute Karbala on the 28th of Rajab.
Written, recited and video created by:
Isha Sadiq Haider
The Education & Azadari Channel
14 Stars
ShiaTV
YouTube
Facebook Page- TEAC Isha Sadiq Haider
[email protected]
Whatsapp
-----------------------
Write-up:
Write-up
Karbala ko Hussain jaa rahay hayn x4
1) Lehde Naana ko kar kay yu weeraa’
Chor kar apni maadar ko tanha
Karkay bhai ko phir say akayla
Saath bacho ko lay jaarahay hayn
2) Kehrahi hayn bilak kar yay sughra
Saath laykar chalay pura kunba
Yay bata dijiyay pyaaray baba
Chor kar mujhko kyu jaarahay hayn?
3) Yay qayamat kay haye hayn manzar
Chaa gai hay udaasi har ik ghar
Unka kunba hi hay unka lashkar
Gham say chehray sehem jaarahay hayn
4) Ordh kar apni maadar ki chaadar
Chal rahi’n saath Zaynabe Muztar
Sar pay saaya kiyay hayn baraadar
Peechay Zahra chali jaarahi’n hayn
5) Seeno par sar ko rakhayn hayn bachay
Kaano may baaliya wo hayn pehnay
Khilkhilaatay chalay hayn wo jaysay
Jaantay hayn kahaa’n jaarahay hayn
6) Seenay say hayn lagi Umme Layla
Akbare Naujawaa’ kay hayn Hamraah
Laykay aai hayn kyu aik sehra?
Dil ko apnay yu behla rahi’n hayn
7) Mat karo ab bayaa’n aur manzar
Ay ISHA keh rahi’n aik maadar
Qabr may hayn bilakti wo muztar
Jiska waapas na aya koi ghar
Khaali godi wo dikhlaa rahi’n hayn
Karbala ko Hussain jaarahy hay’n.
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: