ग़मों और कर्ज़ो को खतम करने वाला दुआ l Qarz, Pareshani, Depression ki Dua | Hafiz Faiq
Автор: Hafiz Faiq
Загружено: 2026-01-15
Просмотров: 18
Описание:
Is video mein hum Rasoolullah ﷺ ki sikhayi hui ek bohot hi powerful dua bayan kar rahe hain jo qarz, pareshani, gham aur depression se nijaat ke liye hai.
Aaj kal bohot se log qarz ke bojh, future ki fikr, anxiety aur logon ke dabao ki wajah se pareshaan rehte hain. Rasoolullah ﷺ ne ek sahabi ko yeh dua sikhayi thi jab woh gham aur qarz mein mubtala the. Allah ke fazl se is dua ki barkat se unke gham bhi door ho gaye aur Allah ne sahabi ka saara qarz bhi utaar diya.
📖 Hadith Reference:
Sahih Bukhari
Hadith Number: 6369
🤲 Dua:
Allahumma inni a‘oozu bika minal-hammi wal-hazani,
wal-‘ajzi wal-kasali,
wal-jubni wal-bukhli,
wa zala id-dayni wa ghalabatir-rijaal.
🕊 Is dua ka matlab ye hai YA ALLAH main teri panah maangta hun
– fikr aur gham se
– aajzi aur kaahili se
– buzdili aur kanjoosi se
– qarz ke bojh se
– aur logon ke ghalbe se
Is dua ko subah aur shaam padhna apni aadat bana lijiye, apne bachchon ko sikhaiye aur doosron tak zaroor pahunchaiye.
Agar video pasand aaye to like karein, share karein aur channel ko subscribe karein taake aur bhi aise Islamic reminders aap tak pahunchte rahein.
#dua
#qarzsenijaat
#ghamsenijaat
#powerfuldua #masnoondua
#sahihbukhari
#hadith6369
#islamicbayan
#islamicreminder
#depressionsenijaat
#anxietysenijaat
#qarzaurpareshani
#deenkibaat
#islamiccontent
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: