Top 1 % Bano |Top 1% Successful People Do This | Powerful motivational video| Think with Eman
Автор: Think with Eman
Загружено: 2025-10-16
Просмотров: 50
Описание:
**"Top 1 banna… sirf ek number lene ka khel nahi hota, ye zindagi ka sabse bada imtihaan hota hai.
Log soch'te hain Top 1 ban’na sirf un logon ka kaam hai jinke paas paisa, support ya naseeb hota hai… lekin asal sach ye hai ke Top 1 wo banta hai jo khud pe yakeen karta hai, chahe poori duniya uske khilaf kyu na ho.
Jab duniya sota hai, Top 1 uth kar apne khwab likhta hai. Jab log thak kar baith jaate hain, Top 1 ek aur qadam badha deta hai. Jab log kehte hain ‘tumse nahi hoga’, Top 1 bas muskurata hai aur kehta hai, ‘dekho, ab yahi main karke dikhaunga’.
Top 1 banna mehnat se zyada jazbe ka khel hai… wo jazba jo insaan ko todta nahi, usay mazboot banata hai. Har girawat, har mushkil, har dhokha ek naya sabaq ban jaata hai.
Aur ek din wo waqt aata hai jab log kehte hain — ‘ye to hamare jaisa hi tha, lekin ye rukha nahi.’
Haan, Top 1 ban’ne ke liye sacrifice dena padta hai, raaton ki neend, doston ke maza, har aaraam… sab khona padta hai. Lekin jo apne khwab ke liye jeeta hai, wo kabhi haar'ta nahi.
Toh agar tumhe duniya mein sabse aage nikalna hai… to logon jaisa mat socho, logon jaisa mat chalo. Alag socho, alag chalo, aur khud pe yakeen rakho.
Kyunki duniya sirf un logon ko yaad rakhti hai —
jo Top 1 bante hain!" 🌟
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: