Karta Kare Na Kar Sake Shiv Kare So Hoye | VINOD VERMA | नया शिवरात्रि भजन 2026
Автор: Vinod Verma
Загружено: 2026-02-15
Просмотров: 150
Описание:
Singer, Lyrics, Composer &Music
Vinod Verma
Co Lyrics Writer
Dolly Verma
Produce & Marketed by
Vintil Media
Lyrics of Song
Sansaar ki maya, ye jag ka khel,
Har jeev yahan, bhatke akel.
Manav ka prayas, kya kar paye?
Jo Mahakaal chahe, wahi ho jaye.
Bramha bhi hare, Vishnu bhi haare,
Jab Shiv ki ichha, sab kuch sanware.
(Chorus)
Karta kare na kar sake, Shiv kare so hoye....
Teen lok nau... khand mein, Mahakaal se bada na koye...
Mahakaal hi satya, Mahakaal hi shakti,
Sharan mein uski, meri bhakti...
Jai Jai Mahakaal! Jai Jai Mahakaal!
Har har Bholenath har har Shambhunath!
Dharti akaash, pawan aur paani,
Sab uski rachna, sab uski kahaani.
Jab uski drishti, badle sab rang,
Kaun roke usko, kaun kare sang?
Dev bhi jhuke, danav bhi daren,
Jab Shiv ki kripa, kasht sab haren.
(Chorus)
Karta kare na kar sake, Shiv kare so hoy.
Teen lok nau... khand mein, Mahakaal se bada na koy.
Mahakaal hi satya, Mahakaal hi shakti,
Sharan mein uski, meri bhakti..
Jai Jai Mahakaal! Jai Jai Mahakaal!
Har har Bhole... har har Shambhu...!
Kya tera, kya mera, sab moh ka jaal,
Vinod Ant mein sab kuch, Mahakaal sambhaal.
Jo uski sharan mein, shraddha se aaye,
Jeevan uska, safal ho jaye.
Na chinta koi, na koi bhaye,
Jab Mahakaal rakshak, sab ho vijay.
(Chorus)
Karta kare na kar sake, Shiv kare so hoy.
Teen lok... nau khand mein, Mahakaal se bada na koy.
Mahakaal hi satya, Mahakaal hi shakti,
Sharan mein uski, mile mukti.
Jai Jai Mahakaal! Jai Jai Mahakaal!
Har har Bholenath har har Shambhunath!
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: