Jason Gillespie ka Zaman Khan par bara bayan, Pakistan fast bowlers ki nursery 🌟
Автор: NS Analysis
Загружено: 2026-01-14
Просмотров: 3358
Описание:
Australia ke sabiq star fast bowler aur Pakistan team ke sabiq head coach Jason Gillespie ne match ke baad Zaman Khan ki shandar bowling ki khul kar tareef ki. Unka kehna tha ke woh Pakistan team ke sath kuch arsa kaam kar chuke hain aur wahan unhon ne aise nojawan fast bowlers dekhe jinki speed ne khud unhein hairan kar diya.
Gillespie ke mutabiq Pakistan fast bowlers paida karne wali aik zabardast nursery hai. Zaman Khan apne mukhtalif aur unique bowling action ki wajah se bohat mushkil bowler hain, khaaskar aakhri overs mein unki yorker aur slow ball lajawab hoti hai.
Unhon ne mazeed kaha ke agar is nojawan bowler ko Pakistan team mein poora mauqa diya jaye to yeh mustaqbil mein aik match winner bowler sabit ho sakta hai.
#JasonGillespie #ZamanKhan #PakistanFastBowlers #MatchWinner #PakistanCricket #FastBowling #CricketNews
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: