Salamat salamat Mera Pakistan Tablo | Melody song | tribute to Quaid Azam | رہے سلامت پاکستان ٹیبلو
Автор: Pak Talent Vision
Загружено: 2024-11-15
Просмотров: 187
Описание:
Students perform a beautiful Tablo on Salamat Salamat Rahe Mera Pakistan in a playground which is a tribute to Quaid e Azam on Quaid Day. Watch Full video and appreciate Students by subscribing to our channel.
#Salamat #Rahe #Mera #Pakistan
Salamat Rahay
Watan ya elaahi salamat rahay
Salamat rahay ta qiamat rahay
Sada is kay dushman ko aayay zawal
Sada is ka dushman rahay payemaal
Sada ki taaqat salamat rahay, salamat rahay ta qiamat rahay
Chamakta hua chand tara rahay
Buhat ucha parcham hamara rahay
Sada shaan shokut salamat rahay, salamat rahay ta qiamat rahay
Watan ko sajayain muhab-e-watan
Nazar ayain har su chaman hi chaman
Hamari yeh jannat salamat rahay, salamat rahay ta qiamat rahay
Elaahi hamain azam-o-tanzeem day
Watan ki muhabbat ki taleem day
Teri hum peh rehmat salamat rahay, salamat rahay ta qiamat rahay
Hamara watan sab ko pyara rahay
Watan ko hamara sahara rahay
Har achi qiadat salamat rahay, salamat rahay ta qiamat rahay.
Sabz Parchum Hamara
Sabz parcham hamara salamat rahay
Sab ko matloob is ki hifazat rahay
Harf-e-izzat peh is ki nah aaye kabhi
Is ko hasil khuda ki amanat rahay
Sabz parcham hamara salamat rahay
Is kay naghmaat din raat gayain gay hum
Chand taray ki barhayin gay hum
Is ki barkut say rahay zindgi ka maza
Is kay saye mein aaram payain gay hum
Sabz parcham hamara salamat rahay
Is ki asmat barhatay rahain gay sada
Is ki shokat barhatay rahain gay sada
Is ko lehrayain gay aasmanon peh hum
Is say nisbat barhatay rahain gay sada
#independenceday #14augusttablo #14august #pakistanarmy #pakistan #Tablo
#پاکستان #پاکستانی
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: