Syed Sibte Jaafar - Na Janay Wo kab aaye gaa aane wala, kay jis ki hamain yaad tarpa rahi hai
Автор: hussaini110786
Загружено: 2011-09-17
Просмотров: 47521
Описание:
Syed Sibte Jaafar
Na Janay Wo kab aaye gaa aane wala, kay jis ki hamain yaad tarpa rahi hai
Zahoor aur Gaibat hain dono qiyamat, na wo aa raha hai na Maut aa rahi hai
Jahan par hoan Salmano, Meesum, Abu zar, Huzaifa, Kumail aur Ammaro Qambar
Ho Shamil tumhare ghulamo mein Kyu Kar, Hamain is par maula, haya aa rahi hai
Nabi aur Aeymaa Sab hi Mohammad, Sabhi apnay apnay zamanay kay rahbar
Naboowat, Imamat aur ab marjeeyat, Khara Khota dunya ko batla rahi hai
Hai parda hamari nigahon par warna, wo maujood hain aur shahid bhi ham par
Hamari badaamaliyan keh rahi hain, ke hum ko kahan un ki parwa rahi hai
Nahi raz ki baat ho Sibte Jaafar, Muhib hain jo un kay sabhi jaante hain
Hamesha Muhibon say Shiyon say apnay, tawaqo imamat ko kiya kiya rahi hai
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: