Mein khwahishon ke azaab le kar chala gaya hoon - Khalil ur Rehman Qamar Poetry
Автор: Charagh Talay
Загружено: 2020-09-11
Просмотров: 71160
Описание:
Mein khwahishon ke azaab le kar chala gaya hoon - Khalil ur Rehman Qamar
Mein khwahishon ke azaab le kar chala gaya hoon
wo dil wo khana kharaab le kar chala gaya hoon
mein chorr kar apni raah takti udaas aankhein
jo bach gaye the wo khwaab le kar chala gaya hoon
jis pe mein ne muhabbaton ki wahi likhi thi
wo ek mamnoon kitaab le kar chala gaya
bas ik ajal ko suna gaya hoon jo daastaan thi
mein zindagi se hisaab le kar chala gaya hoon
mein kaaflon ko dikha gaya hoon nishaan e manzil
mein raaaton ke saraab le kar chala gaya hoon
unhein kaho mein dhoondne se nahin milun ga
mein gard e raah ki nakaab le kar chala gaya hoon
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: