aina Ali Akbar
Автор: Hyder Rizvi
Загружено: 2023-08-08
Просмотров: 9814
Описание:
Noha - Aina Ali Akbar - Ali Rizvi Sachay and Team
aina Ali akbar, aina ali akbar
dikhta nahi ankhou se sada do mujhay beta
girta hu sambhalta hu jigar thamke tanha
ghurbat pe tere baap ki hastay hai sitamgar
aina Ali akbar, aina ali akbar
beta outho seene se zara haath hataou
dikhlao hame kaya huwa humse na chupaou
yu tham ke dil ediya ragaro na dilawar
aina Ali akbar, aina ali akbar
kaya haal mere laal tera hogaya haye
allah kisi baap ko ye din na dikhaye
piri mai falak ne hame dikhlaye jo manzar
aina Ali akbar, aina ali akbar
kis tarha mere laal tere dard ko thamu
seene se tere kis tarha barchi ko nikalu
ajaye kaleja na tera seene se bahar
aina Ali akbar, aina ali akbar
yu chod ke ghurbat mai na jayou mujhay beta
ek tumhi thay jeenay ka sahara mere beta
kis tarha uthaou ga teri lash mein dilbar
aina Ali akbar, aina ali akbar
madar se teri ja ke bhala kaise kahuga
akbar ko tere run mai khaza agayi laila
maa dekh rahi hogi teri raha khule sar
aina Ali akbar, aina ali akbar
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: