Trust Yourself, Not People | Tariq Ali Vibes | Urdu Motivation
Автор: Dil Ki Awaaz ( دل کی آواز )
Загружено: 2026-01-04
Просмотров: 14
Описание:
Zindagi ka sab se bara sabaq yahi hai ke har koi sirf baaton ka saathi hota hai. Jab tak halat theek hotay hain, log saath rehte hain, lekin jaisay hi mushkil waqt aata hai, asal chehray samnay aa jatay hain. Is duniya mein aksar log madad ka wada to kartay hain, magar jab paison ki baat ho, to wahi log door ho jatay hain.
Is video mein hum us haqeeqat par baat karte hain jo aksar log mehsoos to kartay hain magar keh nahi paatay. Ye video aapko sikhaye gi ke kisi aur par depend karne ke bajaye apnay aap par bharosa kaise kiya jaye. Jab insan apna saath khud dena seekh leta hai, to phir koi bhi mushkil usay kamzor nahi bana sakti.
Yaad rakhein, paisa sirf zaroorat nahi hota, balkay izzat aur khuddaari ka zariya bhi hota hai. Is liye mehnat karein, khud ko mazboot banayein, aur apni zindagi is qabil banayein ke kabhi kisi ke aagay haath phelanay ki zaroorat na paray.
👉 Note:
Main apni videos ke liye footages CapCut library se leta hoon,
background music: Mother Land (YouTube Library),
aur voice over mera apna hota hai.
Agar video pasand aaye to like, share aur channel ko subscribe zaroor karein.
#trustyourself #lifereality #bittertruth #motivationalvideo #lifelessons #selfbelief #friendship #focusonyourself #nevergiveup #strongmindset #successmindset #dailyinspiration #urdumotivation #staystrong #viralvideo
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: