Jin Phans Gaya Mushkil Mein! 😱😂
Автор: HassanAtif Fun
Загружено: 2026-03-02
Просмотров: 285
Описание:
Jin Phans Gaya Mushkil Mein! 😱😂
Aaj ki video aik bohat hi mazahiya aur sabaq-amoz (lesson-based) kahani hai. Video mein aap dekhenge ke do larke raste mein aik purana Gutter ka Dhakkan utha kar pheinkte hain, aur achanak us mein se aik Jin nikal aata hai! 🧟♂️
Jin bechara barson se us mein qaid tha, wo khush ho kar kehta hai ke "Main aap ki kya madad kar sakta hoon?" Lekin hamara Pendu bhai to alag hi cheez hai! 😂 Wo darta nahi balkay Jin ko apna naukar bana leta hai.
Video ke Interesting Points:
Pendu ne Jin se apne kandhay dabwaye aur muthian bharwayi. 💪
Humsayon ke ghar se patti (tea leaves) mangwayi. ☕
Aur sab se mazay ki baat, jab Jin ne pocha ke koi bari khwahish batao, to Pendu ne kaha "Mujhe is bare ghar ke bahar Chokidar banwa do!" 🏠👮♂️
Aakhir mein Jin mayoos ho kar chala jata hai aur aik sabaq de jata hai ke: "Bhikari ke hath mein sone ka katora bhi pakra do to wo bhikari hi rehta hai." 🧠✨ Lalchi aur choti soch rakhne wale insan ko jitni bari nemat mil jaye, wo apni soch se agay nahi barh pata.
Video pasand aaye to LIKE, SHARE aur SUBSCRIBE zaroor karein! ❤️
#hassanatiffun
#PenduVsJin
#funnyshorts
#desicomedy
#pakistanifun
#indianfunny
#thelauddgaya
#desijugaar
#romanurdu
#hindicomedy
#indianshorts
#viralshorts
#funnyvideo
#friendcomedy
#desifunny
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: