Nouha Bibi Fatima (sa) Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
Автор: ILMH
Загружено: 2025-11-08
Просмотров: 318
Описание:
Lyrics
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
Arsh aur farsh pe hai bibi ka barpa matam
1-Jalta darwaza gira pehlu pe shehzadi ke
Haye mazlooma haaye Zhera
Haaye Masooma haaye Zhera
Dar o deewar ka har Zarra hai karta matam
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
2-Zulm jab hud se bada Fatima pe baade nabi
Haye maqdooma haaye Zhera
Haye mherooma haaye Zhera
Haaye mastoora
Qabr me haaye Nabi karte hain İnka matam
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
3-Jab tamacha laga mazlooma meri bibi ko
Haaye sabira haaye Zhera
Haaye Siddiqa haaye Zhera
Haaye
Zindagi bhar kiya shabbar ne yeh ghum ka matam
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
4-Batan me hogaye madar ke jo Mohsin bhi shaheed
Haaye masooma. Haaye zhera
Haaye maghmooma haaye zhera
Haaye maqtoola haaye Zhera
Qoone nahaq jo Baha uska hai barpa matam
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
5-Sabr karta hi raha shere Quda shaamo sahar
Ya Ali Moula Haider Moula
Sabr pe unke to qud sabr hai karta matam
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
6-Maa ka saya hai utha bachon ke sar se haaye
Haaye Marziye haaye Zhera
Haaye raziya
Haaye shaheeda Haaye zhera
Koun bhelaaye inhe maa ka hai barpa matam
Momino Fatima Zehra ka hai barpa matam
7-Fatimeh farshe aza par hai mere dil ko yaqeen
Ya imam e muntazer alajal alajal
Karte hai saath yahan hujjat e dauran matam
#ayyamefatimanoha #bibizehra #bibifatima #bibifatimazahranoha
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: