Haye Kaisa Sitam| Yaume Sajjad A.S. 1441 Sajjad Bagh| Anjuman Ghunchae Mazloomiya Faizabad
Автор: Azamgarh Azadari
Загружено: 2019-09-25
Просмотров: 56389
Описание:
#anjumanghunchaemazloomiya #faizabadanjuman #hayekaisasitam
Bhai k samne tora behna ne dum
Haye kese sitam haye kesa sitam
Qaide khane me tora sakina ne dum
Haye kese sitam haye kesa sitam
ek nanhi si bacchi pareshan thi
Apne baba k seene ki jo Jaan thi
Haye karbal ki wo bhi to mehman thi
Qaid kahne sitam se jo Anjaan thi
Kamsini me uthaye h Kitne ye ghum.
us k baba ka, sir haye kata gya
US ka ammu bhi darya pe mara gya
US k qunbe ko karbal me loota gya
Pusth pe ooth k uski bandha gya
Risima se sakina ka ghuta hai dum
badh sarwar tamacha lgaya gya
Loote asbab khema jalaya gya
Aale Ahmed ki qaidi banaya gya
Darba dar haye unko phiraya gya
Ek nanhi si Jaan pe itne sitam
nanhi bacchi h zalim ka Darbadar hai
Har taraf se masaeb ki yalgar hai
Pusth zakhmi yateem hai lachar hai
Ek bhai hai qaidi jo beemar hai
Ek taza jafa hoti hai har qadam
shaam ka Qaid khana wo nanhi si Jaan
Pusth zakhmi shikasta hui pasliya
Dard se kapti jati thi wo neem Jaan
Ma se kehti thi lele wo k hichkiya
Amma is Qaid me jee na payegy hm
Qaid khane me burpa Qayamat hui
Binte shabbir gurbat me rukhsat hui
Aale Ahmad pe taza musibat hui
Dafan kese sakina ki mayyat hui
Peet kar sir ko rote the ahle harem
har taraf se seher ek kohram hai
Qaid khane ka larza darobam hai
Ye madina nhi makaze Shaam hai
Lub pe abid k julma ye har dum hai
Haath jakde hai kis taraha dafnaye hum
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: