Telangana Mein Cyclone Akvan Ka Asar | Kai Zilon Mein Heavy Rain Alert Jaari | Full Details
Автор: Munsif News 24x7
Загружено: 2026-11-17
Просмотров: 16946
Описание:
#Munsif #MunsifNews #MunsifNews24x7 #MunsifDaily #MunsifHyderabad #MunsifIndia #TelanganaNews #hyderabadnewschannel
Telangana mein Samundari Toofan Akvan ke asraat ke pesh-e-nazar India Meteorological Department (IMD) ne kai zilon ke liye Heavy Rain aur Strong Winds ka alert jaari kiya hai.
Hyderabad aur uske aas-paas ke zilon mein filhaal mausam zyada tar khushk rehne ka imkaan hai, lekin 19 November se Telangana ke mausam mein badi tabdeeli aa sakti hai.
IMD Hyderabad ke mutabiq 19 aur 20 November ko Mulugu, Bhadradri Kothagudem, Khammam, Nalgonda, Suryapet aur Mahabubabad mein baarish, garaj chamak aur tez hawaon ka imkaan hai.
20 aur 21 November ke dauran Bhadradri Kothagudem, Khammam, Suryapet aur Mahabubabad mein Heavy to Extremely Heavy Rainfall ki warning di gayi hai. Kuch ilaqon mein 50 se 60 kmph ki raftaar se tez hawaein chal sakti hain.
Iske alawa Jayashankar Bhupalpally, Warangal, Hanamkonda, Jangaon, Yadadri Bhuvanagiri aur Mancherial samet kai zilon mein bhi bhaari baarish ka imkaan zahir kiya gaya hai.
IMD ne badalte mausam ko dekhte hue awaam ko ehtiyaat baratne aur aasmaani bijli aur tez hawaon se bachne ka mashwara diya hai.
#TelanganaWeather #CycloneAkvan #HeavyRainAlert #IMDAlert #HyderabadWeather #TelanganaNews #RainAlert #WeatherUpdate #StrongWinds #Telangana
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: