Ghazal: Zraa Si Aur Laa Saaqi: Pandit Vithal Rao Ji: Dr. Inderjit Nirdosh.
Автор: Kalaam-e-Nirdosh: SAVN - Ghazal Aur Bhajan Ka
Загружено: 2022-06-05
Просмотров: 12739
Описание:
Ghazal Introduction: Khalid Iqbal; Keyboard: Yaseen Khan.
Please SUBSCRIBE to the Channel and LIKE & SHARE the Video.
Kindly activate Captions/Subtitles and for full lyrics please click SHOW MORE below.
Ghazal
Zraa Si Aur Laa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Na Tu Daaman Bachaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Aadaab-e-MaiKshi Mein Aib Hai Ke Hosh Baaqi Hon
Mujhe Behad Pilaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Sunaa Hai Laakh MaiKhaane Basay Hain Teri Aankhon Mein
Ke Nazrein To Milaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Tulooy-e-Subha Se Pehlay Tulooy-e-Subha Honay De
Zraa Chilman Htaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Meri Tishna-Labi Tishna-Nigaahi Par Nazar Kar Ke
Zraa Meena Uthaa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Tumharay Khand-e-Zer-e-Lab Ke Mayal Hain Farishtay Bhi
Zraa Sa Muskura Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Bahut Naakamiyaan, Be-Inthaa Gham Maine Paaye Hain
Idhar Zehraab Laa Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Sukoot-e-Anjuman Nirdosh Meri Jaan Le Le Ga
Zraa To Gunguna Saaqi, Abhi Kuchh Raat Baaqi Hai
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: