ycliper

Популярное

Музыка Кино и Анимация Автомобили Животные Спорт Путешествия Игры Юмор

Интересные видео

2025 Сериалы Трейлеры Новости Как сделать Видеоуроки Diy своими руками

Топ запросов

смотреть а4 schoolboy runaway турецкий сериал смотреть мультфильмы эдисон
Скачать

Muscat (Oman) - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Автор: rahat.ki.shayari

Загружено: 2022-06-25

Просмотров: 20909

Описание: Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvN

Kisne dastak di ye dil par kaun hai
Aap to andar hain bahar kaun hai

-

Roz taron ko numaish me khalal padta hai
Chand pagal hai andhere me nikal padta hai

Uski yaad ayi hai sanson zara ahista chalo
Dhadkano se bhi ibadat me khalal padta hai

-

Suraj sitare chand mere sath me rahe
Jab tak tumhare hath mere hath me rahe

Shakhon se toot jaye wo patte nahi hain hum
Aandhi se koi keh de ke aukat me rahe

-

Kabhi mehek ki tarah hum gulon se udte hain
Kabhi dhue ki tarah parbaton se udte hain

Ye kainchiyan hume udne se khaak rokengi
Ke hum paron se nahin hauslon se udte hain

-

Lave diyon ki hawa me uchhalte rehna
Gulon ke rang pe tezab dalte rehna

Main noor banke zamane me fail jaunga
Tum aftab me keede nikalte rehna

-

Dar ba dar jo the wo diwaron ke malik ho gaye
Mere sab darbaan darbaron ke malik ho gaye

Lafz gunge ho chuke tehreer andhi ho chuki
Jitne mukhbir the wo akhbaron ke malik ho gaye

-

Kal tak dar dar phirne wale ghar ke andar baithe hain
Aur bechare ghar ke malik darwaze par baithe hain

Khulja sim sim yaad hai kisko kaun kahe kaun sune
Gunge bahar cheekh rahe hain behre andar baithe hain

-

Ye alag baat ke khamosh khade rehte hain
Phir bhi jo log bade hain wo bade rehte hain

Aise darveshon se milta hai hamara shijra
Jinke juton me kai taj pade rehte hain

-

Sarhadon par bahot tanav hai kya
Kuch pata to karo chunav hai kya

Khauf bikhra hai dono samton me
Tisri samt ka dabav hai kya

-

Siyahiyon ke parasdar log rehte hain
Ye har taraf jo chamakdar log rehte hain

Bahot kareeb se main jake dekh aaya hu
Safed ghar me siyahkar log rehte hain

Main sochta tha masiha ka samna hoga
Magar yahaan pe to bimar log rehte hain

Munafiko se kahin koi bach nahi sakta
Hamare sath bhi do char log rehte hain

-

Kaam sab gair zaruri hain jo sab karte hain
Aur hum kuch nahi karte hain gazab karte hain

Aapki nazro me suraj ki hai jitni azmat
Hum charago ka bhi utna hi adab karte hain

-

Mujhme kitne raaz hain batlaun kya
Band ek muddat se hoon khul jaun kya

Ajizi minnat khushamad ilteja
Aur main kya kya karu mar jaun kya

Ek patthar hai wo meri raah ka
Agar na thukrau to thokar khau kya

Phir jagaya tune soye sher ko
Phir wahi lehja darazi aau kya

-

Andhere charon taraf saaye saaye karne lage
Charag hath uthakar duayein karne lage

Salika jinko sikhaya tha humne chalne ka
Wo log aaj hume daaye baaye karne lage

Lahu luhan pada tha zamin par ek suraj
Parinde apne paron se hawayein karne lage

Zamin par aa gaye ankhon se toot kar aansu
Buri khabar hai farishte khatayein karne lage

Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar
Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage

Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi
Safedposh uthe kaaye kaaye karne lage

-

Uski katthai ankhon me hain jantar mantar sab
Chaku vaku chhuriyaan vuriyaan khanjar vanjar sab

Jis din se tum ruthi mujhse ruthe ruthe hain
Chadar vadar takiya vakiya bistar vistar sab

Mujhse bichhadkar wo bhi kahan ab pehle jaisi hai
Feeke pad gaye kapde vapde zevar vevar sab

Ishq vishq ke sare nuskhe mujhse sikhte hain
Sagar vagar Manzar vanzar Johar vohar sab

-

Khade hain mujhko kharidar dekhne ke liye
Main ghar se nikla tha bazar dekhne ke liye

Kataar me kai nabina log shamil hain
Ameer e shahar ka darbar dekhne ke liye

Hazaron baar hazaron ki samt dekhte hain
Taras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye

Har ek harf se chingariyan nikalti hain
Kaleja chahiye akhbar dekhne ke liye

-

Kabhi akele me milkar jhanjhod dunga use
Jaha jaha se wo tuta hai jod dunga use

Mujhe wo chhod gaya ye kamal hai uska
Irada maine kiya tha ke chhod dunga use

Pasine bantta phirta hai har taraf suraj
Kabhi jo hath laga to nichod dunga use

Maza chakha ke hi mana hu main bhi duniya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chhod dunga use

-

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain

-

Sabko ruswa baari baari kiya karo
Har mausam me fatwe jaari kiya karo

Roz wahi ek koshish zinda rehne ki
Marne ki bhi kuch tayyari kiya kari

Chaand zyada roshan hai to rehne do
Jugnu bhaiyya ji mat bhari kiya karo

-

Jihalaton ke andhere mita ke laut aaya
Main aaj sari kitabe jala ke laut aaya

Wo ab bhi rail me baithi sisak rahi hogi
Main apna hath hawa me hila ke laut aaya

Khabar mili hai ke sona nikal raha hai waha
Main jis zameen pe thokar laga ke laut aaya

Wo chahta tha ke kasa kharid le mera
Main uske taj ki kimat laga ke laut aaya

-

Nishane chook gaye sab nishan baki hai
Shikargah me khali machan baki hai

Ye aur baat ke ab khushbuyein nahin lekin
Hamare taaq me ek itradan baki hai

Phir ek bache ne lashon ke dher par chadhke
Ye keh diya ke abhi khandan baki hai

Wo bevakuf zamin bantkar bahot khush hai
Usse kaho ke abhi aasman baki hai

#RahatIndori #rahatkishayari

Не удается загрузить Youtube-плеер. Проверьте блокировку Youtube в вашей сети.
Повторяем попытку...
Muscat (Oman) - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Поделиться в:

Доступные форматы для скачивания:

Скачать видео

  • Информация по загрузке:

Скачать аудио

Похожие видео

Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

JANDAR ANDAZ I RAHAT SAHAB @ QATAR MUSHAIRA I Sukhan Rubaru  - Qatar Mushaira I #rahatindori I #new

JANDAR ANDAZ I RAHAT SAHAB @ QATAR MUSHAIRA I Sukhan Rubaru - Qatar Mushaira I #rahatindori I #new

Badayun Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Badayun Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Rahat Indori Best Shayari Collection 2025 | Heart Touching Poetry | Mustafa Ali Khumran

Rahat Indori Best Shayari Collection 2025 | Heart Touching Poetry | Mustafa Ali Khumran

Поэт Рахат Индори с Шахрияром и Раисом Ансари Мухайрой 2008 I Vertex Events Dubai

Поэт Рахат Индори с Шахрияром и Раисом Ансари Мухайрой 2008 I Vertex Events Dubai

Rahat Indori - Aur hai kuch din nafrat ke ye daftar waftar sab

Rahat Indori - Aur hai kuch din nafrat ke ye daftar waftar sab

जब  Dr Rahat Indori का हुआ मौत से सामना... जानिए किसने बचाई उनकी जान | Kavi Sammelan

जब Dr Rahat Indori का हुआ मौत से सामना... जानिए किसने बचाई उनकी जान | Kavi Sammelan

Hindustani aur Pakistani Mushayara ❤✨ @dubaimushaira2483 #shayari #pakistan #mushayara

Hindustani aur Pakistani Mushayara ❤✨ @dubaimushaira2483 #shayari #pakistan #mushayara

Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Rahat Indori Mushaira in Bangalore

Rahat Indori Mushaira in Bangalore

DR RAHAT INDORI

DR RAHAT INDORI

#RahatIndori Classic Mushaira Best Shayari Complete Video

#RahatIndori Classic Mushaira Best Shayari Complete Video

Rahat Indori Best Shayari 2018 - Wah Wah Kya Baat Hai - Urdu Ghazal - Dubai Mushaira - Bismillah

Rahat Indori Best Shayari 2018 - Wah Wah Kya Baat Hai - Urdu Ghazal - Dubai Mushaira - Bismillah

Rahat Indauri -GORAKHPUR- ALL INDIA MUSHAIRA WA KAVI SAMELLAN 2014

Rahat Indauri -GORAKHPUR- ALL INDIA MUSHAIRA WA KAVI SAMELLAN 2014

RAHAT INDORI ( Jo taur hai duniya ka usi taur se bolo - Behro.n ka ilaaka hai zara zor se bolo )

RAHAT INDORI ( Jo taur hai duniya ka usi taur se bolo - Behro.n ka ilaaka hai zara zor se bolo )

Dubai (UAE) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Dubai (UAE) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Ye Kya Bol Gaye Dr.Rahat Indori Gujarat Main || Mushaira 2019 || Kalla Sharif || Gujarat || India

Ye Kya Bol Gaye Dr.Rahat Indori Gujarat Main || Mushaira 2019 || Kalla Sharif || Gujarat || India

Rahat Indori | आँधी से कोई कह दे के औक़ात में रहे | Dhar Urs Mushaira

Rahat Indori | आँधी से कोई कह दे के औक़ात में रहे | Dhar Urs Mushaira

Rahat Indori Famous Mushaira Video - 2016 | Best Rahat Indori Mushaira | Insha Allah

Rahat Indori Famous Mushaira Video - 2016 | Best Rahat Indori Mushaira | Insha Allah

Dr Rahat Indori Mushaira, MUSHAIRA MEDIA

Dr Rahat Indori Mushaira, MUSHAIRA MEDIA

© 2025 ycliper. Все права защищены.



  • Контакты
  • О нас
  • Политика конфиденциальности



Контакты для правообладателей: [email protected]