🤔Web browser VS Web server 🏆
Автор: Software pro program
Загружено: 2025-10-25
Просмотров: 20
Описание:
Sabse pehle baat karte hain Web Browser ki.
Web Browser ek aisa software hota hai jisse hum internet par websites dekhte hain.
Jaise Google Chrome, Firefox, Safari, ya Opera.
Browser web server se webpages maangta hai, unhe display karta hai.
Browser ek HTTP request bhejta hai server ko, aur server se response lekar web page dikhata hai.
Browser user ka data local machine me store karta hai — jaise cookies aur history.
Hum browser ko apne mobile, laptop, ya tablet me install kar sakte hain.
Ab baat karte hain Web Server ki.
Web Server bhi ek software hota hai, jo websites ko store karta hai aur unhe browsers ko bhejta hai jab browser unhe maangta hai.
Server browser se request receive karta hai, aur HTTP response ke form me webpage bhejta hai.
Server ke paas websites ke data hote hain, jo alag-alag folders me store kiye jaate hain.
Server ek computer par install hota hai jo hamesha network se connected rehta hai.
Simple shabdon me samjho —
Jab tum Google Chrome me YouTube.com likhte ho,
Browser YouTube ke server se page maangta hai,
Server page bhejta hai,
Aur Browser tumhare screen par page dikhata hai.
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: