Maa Pandurisuni Shaktipeeth 🙏 | Pahadon Aur Jungle Ke Beech Chamatkari Dham
Автор: ALLROUNDER SHYAM
Загружено: 2026-01-30
Просмотров: 7
Описание:
Aaj main Maa Durga ke ek aur adbhut aur chamatkari Shaktipeeth,
Maa Pandurisuni ke darshan ke liye gaya.
Yeh pavitra mandir pahadon aur jungle ke beech sthit hai.
Mandir ke dono taraf khula maidan hai, jahan bachchon ke liye park bhi banaya gaya hai.
Yahan aksar jangli haathi aate-jaate rehte hain,
isliye raat 9 baje ke baad yahan jaana risky mana jaata hai,
jiska board bhi mandir ke paas laga hua hai.
Mandir gaon ke andar sthit hai,
isliye yahan pahunchne ke liye gaon ke beech se hokar jaana padta hai.
Jagah bahut hi sundar, shaant aur prakriti se bhari hui hai,
jo main is video mein aap sabhi viewers ko dikhane wala hoon.
Maa ke darshan karte hi aisa mehsoos hua
jaise maa bol uthengi…
unke roop ko dekh kar mann poori tarah mantramugdh ho gaya.
Andar se anand, jigyasa aur shanti ka anubhav ho raha tha.
Achaanak sharir mein ek alag hi urja aa gayi,
jise shabdon mein bayan karna mushkil hai.
1–2 ghante wahan bitane ke baad,
hum log mann mein shanti aur maa ka aashirvaad lekar wapas laute.
🙏 Jai Maa Durga
#MaaPandurisuni
#PandurisuniShaktipeeth
#MaaDurga
#Shaktipeeth
#DeviDarshan
#ChamatkariMandir
#JungleTemple
#HillTemple
#SpiritualJourney
#BhaktiVideo
#SanatanDharma
#DivineExperience
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: