Roza Or Dhoka | Ramzan Special video | Awareness message | Okara Film Hub
Автор: Okara Film Hub
Загружено: 2026-03-05
Просмотров: 208
Описание:
Roza Or Dhoka | Ramzan Special video | Awareness message | Okara Film Hub
Ramzan sirf roza rakhne ka naam nahi…
Ye mahina hai halal rizq, imandari aur Allah ke khauf ka.
Is short film mein ek motorcycle mechanic rozay ki halat mein kaam kar raha hota hai.
Ek ameer Chaudhry usay call karta hai ke uski bike raste mein band ho gayi hai.
Mechanic bike check karta hai aur jhoot bolta hai ke engine ka masla hai — 8,000 rupay lagenge.
Jabke asal masla sirf plug ka hota hai…
Uska shagird use rokta hai:
“Ustad ji, Ramzan ka mahina hai, aap ghalat kar rahe hain.”
Lekin mechanic baat nahi maanta.
Jab sach saamne aata hai aur malik ko pata chalta hai ke engine bilkul theek tha…
to wo mechanic ko Allah ka khauf yaad dilata hai.
Tab mechanic ko apni ghalti ka ehsaas hota hai.
Ye kahani humein sikhati hai:
✔ Ramzan mein sirf bhook se nahi, gunaah se bhi bachna zaroori hai
✔ Halal kamai hi asal barkat laati hai
✔ Jo jhoot aur dhoka deta hai, ek din pakra zaroor jata hai
Presented by Okada Film Hub
Agar aap bhi samajhte hain ke imandari sabse bari daulat hai to video share zaroor karein.
#Ramzan2026
#RamadanKareem
#HalalRizq
#Imandari
#IslamicReminder
#RamzanSpecial
#SocialMessage
#EmotionalShortFilm
#NoFraud
#OkadaFilmHub
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: