Roshan Jahan Hai Jis Se Woh Mehfil Tumhi To Ho (روشن جہاں ہے جس سے وہ محفل تمہیں تو ہو) | Sufi Kalam
Автор: His Whispers
Загружено: 2026-01-27
Просмотров: 1497
Описание:
Yeh Sufi kalaam wahdat aur roohani talash ka paighaam deta hai, ke iss kainaat ki roshni, har zarra, har saans, har manzar mein Allah ki nishani aur jalwa hai. Banda apni zindagi bhar usi Haq ki talash mein safar karta rehta hai; kabhi khud ko dhoondhta hai, kabhi us Noor ko jo har jagah maujood hai.
Poet: Behzad Lakhnavi
Yeh kalaam dil ko yaad dilata hai ke asal manzil sirf Allah hai, aur talash ka har qadam usi ki taraf le jata hai.
Pasand aaye to Like, Share, aur Subscribe zaroor karein aur apni feeling comments mein likhein.
Disclaimer: Yeh kalaam sirf is channel ke liye hai. Baraye meherbani isay re-upload, repost, ya kisi bhi platform par dobara publish na karein.
Lyrics:
روشن جہاں ہے جس سے وہ محفل تمہیں تو ہو
دل جس کو ڈھونڈھتا ہے وہ منزل تمہیں تو ہو
کہتا ہوں اپنا دل جسے وہ دل تمہیں تو ہو
میرے جہان عشق کا حاصل تمہیں تو ہو
جو موج کی ہے آس جو کشتی کا آسرا
دریائے درد و غم کا وہ ساحل تمہیں تو ہو
مشکل نہیں ذرا بھی وہ آسان شے ہوں میں
حل جس کا کچھ نہیں ہے وہ مشکل تمہیں تو ہو
اس راہ غم میں اور بھٹکنے تو دو مجھے
وہ کا کام کیا ہے کہ منزل تمہیں تو ہو
مشکل تو کچھ نہیں مری عقدہ کشائیاں
مشکل یہ آ پڑی ہے کہ مشکل تمہیں تو ہو
دیکھو اداس ہونے نہ پائے یہ بزم عشق
یہ بھی خبر ہے صاحب محفل تمہیں تو ہو
ان کو سنا رہا ہوں غم دل کی داستاں
کیا یہ بھی کھول دوں کہ غم دل تمہیں تو ہو
حسرت سے دیکھتے ہو سجود وفا مگر
بہزادؔ مبتلا کے مقابل تمہیں تو ہو
---
रौशन जहाँ है जिस से वो महफ़िल तुम्हें तो हो
दिल जिस को ढूँढता है वो मंज़िल तुम्हें तो हो
कहता हूँ अपना दिल जिसे वो दिल तुम्हीं तो हो
मेरे जहान-ए-इ'श्क़ का हासिल तुम्हीं तो हो
जो मौज की है आस जो कश्ती का आसरा
दरया-ए-दर्द-ओ-ग़म का वो साहिल तुमहीं तो हो
मुश्किल नहीं ज़रा भी वो आसान शय हूँ में
हल जिस का कुछ नहीं है वो मुश्किल तुम्हें तो हो
इस राह ग़म में और भटकने तो दो मुझे
रहबर का काम किया है कि मंज़िल तुम्हें तो हो
मुश्किल तो कुछ नहीं मिरी उक़्दा-कुशाइयाँ
मुश्किल ये आ पड़ी है कि मुश्किल तुमहीं तो हो
देखो उदास होने न पाए ये बज़्म-ए-इश्क़
ये भी ख़बर है साहब-ए-महफ़िल तुम्हीं तो हो
उन को सुना रहा हूँ ग़म-ए-दिल की दास्ताँ
क्या ये भी खोल दूँ कि ग़म-ए-दिल तुम्हीं तो हो
हसरत से देखते हो सुजूद-ए-वफ़ा मगर
'बहज़ाद' मुब्तला के मुक़ाबिल तुम्हीं तो हो
---
raushan jahāñ hai jis se vo mahfil tumheñ to ho
dil jis ko DhūñDhtā hai vo manzil tumheñ to ho
kahtā huuñ apnā dil jise vo dil tumhīñ to ho
mere jahān-e-ishq kā hāsil tumhīñ to ho
jo mauj kī hai aas jo kashtī kā aasrā
dariyā-e-dard-o-ġham kā vo sāhil tumhīñ to ho
mushkil nahii. zarā bhī vo āsān shai huuñ meñ
hal jis kā kuchh nahii. hai vo mushkil tumheñ to ho
is raah ġham meñ aur bhaTakne to do mujhe
rahbar kā kaam kiyā hai ke manzil tumheñ to ho
mushkil to kuchh nahīñ mirī uqda-kushā.iyāñ
mushkil ye aa paḌī hai ki mushkil tumhīñ to ho
dekho udaas hone na paa.e ye bazm-e-ishq
ye bhī ḳhabar hai sāhab-e-mahfil tumhīñ to ho
un ko sunā rahā huuñ ġham-e-dil kī dāstāñ
kyā ye bhī khol duuñ ki ġham-e-dil tumhīñ to ho
hasrat se dekhte ho sujūd-e-vafā magar
'bahzād' mubtalā ke muqābil tumhīñ to ho
#sufi #shayari #urdupoetry #kalam #islamicvideo #qawwali #love #sufimusic
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: