10-Oct-2016 Khyam Jal chukay Abbas ab tau aa Jao - Ashraf Abbas Saheb
Автор: hussaini110786
Загружено: 2016-10-10
Просмотров: 19087
Описание:
Ye kali raat, ye tanhaee, kya kare Zainab
Sabhi chalay gaye awaz de kisay Zainab
Ye chatay ho yahan nangay sar phiray Zainab
Yahan se sham talak nangay ser phiray Zainab
Khuda ke wastay kuch der ko tau aa Jao
Khyam Jal chukay, Abbas ab tau aa Jao
Ajeeb raat hai sab log sehmay jaatay hain
Dikha ke naizay shaki bachon ko daratay hain
Kabhi jo sharm se cheron ko hum chupatay hain
Tau Tazyane ye zalim hamain lagatey hain
Laeen gairay hain bhaya inhain hata jao
Khyam Jal chukay, Abbas ab tau aa Jao
Hamara saath agar nagawar hai bhaya
Ye bebasi nigaho dil pe bar hai bhaya
Taraee se tumhain itna hi piyar hai bhaiya
Tau lot jaana tumhain iktiyar hai bhaiya
Zara see der ko aa kar hamain bhitha jao
Khyam Jal chukay Abbas ab tau aa Jao
Suno Sakina bulati hai tum ko ror ro kar
Bara bharosa tha bachi ko apnay amoo par
Wo durray khati rahi aur huee na tum ko khabar
Laeen le gaye kano se cheen kar gohar
Wo tum se rooth gaee hai usay mana Jao
Khyam Jal chukay Abbas ab tau aa Jao
Tumhari bewa wo bhaithi hai sar jukhaye huway
Rida tau chin gaee balon se mun chupaye huwaya
Jo aag dil mein lagi hai usay dhabaey huwaey
Tumhare bachon ko dil se magar lagaey huwaey
Yateem kaisay palein gay usay bata jao
Khyam Jal chukay, Abbas ab tau aa Jao
Salam recited by Ashraf Abbas Saheb in 8th Moharram majlis at residence of Marhoom Syed Ali Muttaqi Jafry Saheb, in Karachi
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: