Zainab ne kaha baap Ke qadmon say lipat kar, Ab aaye ho baba - Izzat Lakhnavi
Автор: Old nohay with wording
Загружено: 2013-12-11
Просмотров: 9566
Описание:
AB AAYE HO BABA
Poet Shahid Naqvi Recited by Izzat Lakhnavi
Woh Karbala, woh sham-e-ghariban, who tirgi
Who Zainab-e-Aseer, Who hifazat Khaym ki
Aaya who ek sawaar qareeb-e-khayam-e-Shah
Beti Ali ki ghaiz me soohe faras badhi
Ulti naqab chhere se apne sawaar ne
Pesh-e-nigah e Zainab-e-mazloom they Ali
Har chand sabira thi bohat Bint-e-Fatima
Be-saakhta zaban pa yeh faryaad aa gayi
Zainab ne kaha baap Ke qadmon say lipat kar
Ab aaye ho baba
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar
Ab aaye ho baba
Baba agar aana hi tha khaliq ki reza say
us waqt na aaye
Jab khaak pe dam torh raha tha mera Akbar
Ab aaye ho baba.
Kat-kat ke gire nehar pa jab baazo-e-Abbas
aur koi na tha paas
Us waqt sada aap ko deta tha Dilawar
Ab aaye ho baba.
Jab farsh-e-zameen baam-e-falak larza fishaan thay
Us waqt kahan thay
Jab baap ke chullu mein tha khoon-e-Ali Asghar
Ab aaye ho baba.
Jab bhai ka sar katTa tha main dekh rahi thi
Hazrat ko sada di (x2)
Sar kholay hue roti thi mani khaime ke dar par
Ab aaye ho baba.
Jab log bacha le gaye lashey shohada kay
Haq apna jata kay
Bas ek tan-e-Shabbir tha pamaali ki zad par
Ab aaye ho baba.
Jab bali Sakina ke gauhar chhene gaye the
Lagte the tamache
Hasrat se mujhe dekhte thi Bano-e-muztar
Ab aaye ho baba.
Jab Shaam ke qazaaq hamein loot rahay thay
Khaimon ko jala kay
Aap aagaye hote to na chinti meri chaadar
Ab aaye ho baba.
Kya aapnay firdous say ye dekha na hoga
Kya hashr bapa tha
Jab pusht se beemar ki khaincha gaya bistar
Ab aaye ho baba.
Ek raat ke mehman hain phir qaid-e-salasil
ab aane se hasil
Bazaar me hum subho ko jayein-ge khule sar
Ab aaye ho baba.
Shahid* rukh-e-Haider pe bhi bikhar jaatay thay aansoo
Jab khol ke gesun
Chillati thi Zainab mere baba meri chadar
Ab aaye ho baba.
Jab Shaam ke qazaaq hamein loot rahay thay
Khaimon ko jala kay
Aap aagaye hotein to na chin ti meri chadar
Ab aaye ho baba.
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar
Ab aaye ho baba
Zainab ne kaha baap Ke qadmon say lipat kar
Ab aaye ho baba
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
https://archive.org/details/BayaazOfO...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: