DEDAR E ELAHI KA BAYAN I FH Offical
Автор: FH Offical
Загружено: 2022-05-08
Просмотров: 6014
Описание:
DEDAR E ELAHI KA BAYAN I FH Offical
is video me Murshid e Pak Hazrat Syedna Riaz Ahmad Gohar Shahi madazila ul aali ne Dedar e Elahi ka bayan furmaya hai Ap farmte hain k : "Tumhare undr ki batni cheesain jab noor se noori ho jati hain to us waqt insan sochta hai k dekhain k uper kya ho raha hai yeh makhlooqain uper parwaz kar jati hain Bait ul Mamoor se b aagy chuli jati hain farishte rokte hain nahin rukti hain farishte kehty hain jo kuch b hain Bail ul Mamoor se aagy jal jaey ga aur yeh Bait ul Mamoor se b aagy chuli jati hain wahan pohnch jati hain jahan Rab ki zat hai.zahiri jism se Hazoor Pak (s.a.w.w) wahan pohnchy aur in makhlooqon se wali wahan pohnchty hain.jab koi Allah k roubro chula jata hai to phir aik dousry ko peyar se dekhty hain,phir Allah Tala farmata hai main tujhy dekh lon to mujy dekh le.aik dousry ko peyar se dekhty hain phir woh Allah ka nuqsha us bundy ki ankhon me aata hai ankhon se us k dil me jata hai jab dil me jata hai to phir Allah Tala farmata hai Aub to nechy chula ja aub jo tujhy dekh le woh mujy dekh le."
Dedar e Elahi k beyan me Sarkar pak ne mazeed irshad farmaya k insan yahan tak pohnch sakta hai aur insan pohnchy hain.tumhar undar 7 lataif hain aur 7 hi jahan hain,har jahan se aik aik makhlooq pakr kar Allah Tala ne jismo me dal di,aur 7 hi jantain banain,pata nahin is ko kis jahan ki sair karne ka shouq ho ager is ko malkot ka shouq hua to Qalb ko taqatwar bana le ga ager jabroot me jany ka shouq hua to Latifa Rooh ko taqatwar bana le ga,aur ager is ko shouq hua k ma Allah ko dekhon to Latifa Anna ko taqatwar bana le ga.us k bad Allah Tala ne 7 jantain banain,janat to aik b kafi thi na phir us ne 7 jantain kyun banain?Allah Tala ne 7 lataif jism me rakhy yeh 7 darjy hain ager qalb ki ebadat kare ga to janat e khuld me chula jaey ga ager rooh ki ebadat kare ga to dar ul slam ka haqdar ho ga isi tara har latify ka zikr alehda alehda janton se hai sab se Afzal Lataifa Anna se hai k Janat ul Firdos ka haqdar ho jata hai yeh Allah k Ashiqon ka thikana hai.
Dedar e Elahi ka bayan farmate huy Murshid e Pak Hazrat Syedna Riaz Ahmad Gohar Shahi madazil ul aali ne farmaya k log kehte hain ham bakshy jain gai,ham b kehty hain 5 namazon se b kakhsy jain gai,balke ager Akeeda tumhara theek hai to gustakh na ho gunahgar hi sai Hazoor Pak (s.a.w.w) ka Gustakh na ho buhly gunagar hi sai ho sakta hai aik hi dafa un k name ko choom lo to usi sadky se Allah Tala tum ko bakish dai.aur hamhara Akeeda hai k Gustakh na ho kalma go ho to baksha hi jaey ga.lekin aub baksha to gaya uther Allah Tala ne farmaya k "kya in logon ne samjh rakha hai ham in ko naik o karon k barabar kar dain gai."baksha b gaya lekin naik o karon k barabar to nahin ho sakta na,sab se jo Adna janat hai woh Khuld hai aur sab se Adna Ebadat Qalb ki hai is ne to qalb ki ebadat kari hi koi nahin phir janat me chula gaya jantion ka ghulam ban k rahy ga kitna pachtaey ga.aik Hadise Sharif me hai k "janat me jantion k b afsoos ho ga k donia me jo lamha Allah k zikr k baghair guzra kash aesa kabi na hota."jo qalb ka zikr nahin karte hon gai wo khain gai kash ham b qalb ki ebadat karte to aj in k brabar hote,isi tara jo qalb ki ebadat karte hon gai woh rooh ki ebadat waly par rashk karain gai,is tara janat me b jantion ko afsoos ho ga.
Dedar e Elahi ka bayan karte huy Sarkar Pak ne mazeed farmaya k yeh 7 makhlooqain Allah Tala ne sab k undar rakh di hain,aub in ko noor ki taqat daina tumhara kam hai na do gai to 40 sal k bad zaya hona shuru ho jati hain aur 60 sal tak mokamal hi zaya ho jati hain.
Our Social Likns :
/ fazalehaqoffical
/ @fhoffical
https://fazalehaqoffical.blogspot.com
/ fhoffical786
/ batinitaleem75
Deen-e-Elahi Book Download Link :
https://bit.ly/3kCJx4p
Fazal-e-Haq Magazine May 2022 Download Link :
https://bit.ly/3OGfyGG
zikr e qalb ki ejazat ke leye watch this video :
• Rouhaniyat Aur Zikr e Qalb Ka Faiz Hasil K...
more infomation watch thess videos :
• ilm e batin serial
Rohaniyat k bary me information watch thess videos :
• Плейлист
#dedareelahikabayanfhoffical#dedareelahi#dedareilahi#fhoffical
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: