Barzakh Ki Do Wadiyan | Barzakh Mai Amaal Ka Asar | Maulana Ali Murtaza Zaidi
Автор: Agha Ali Murtaza Zaidi
Загружено: 2026-02-26
Просмотров: 1138
Описание:
Barzakh Ki Do Wadiyan | Wadi us Salam aur Wadi e Barhoot Ka Haqeeqi Raaz
Maut insaan ka khatma nahi, balkeh ek naye aalam ka aaghaz hai jise Barzakh kaha jata hai. Is video mein hum barzakh ki haqeeqat, rooh ka safar, aur do mashhoor wadiyon — Wadi us Salam aur Wadi e Barhoot — par tafseeli guftagu kar rahe hain.
Riwayaat ke mutabiq har insaan maut ke baad barzakh mein dakhil hota hai jahan uske aamaal mutajassim ho jate hain. Yani insaan ke nek aur bure aamaal ek misali wujood ki surat ikhtiyar kar lete hain. Insaan hairan hota hai ke uske apne hi aamaal uske saamne mojood hain.
Najaf Ashraf mein mojood Wadi Us Salam jo ke Najaf mein hai aur jawar e Mola Ali mein waqia hai, riwayaat mein momineen ki arwah ka markaz bayan ki gayi hai. Kya duniya ki Wadi us Salam ka talluq barzakh ki Wadi us Salam se hai?
Irfani silsile mein Ayatullah Syed Ali Qazi Tabatabayi ke nizam e tarbiyat mein is rabt ko tasleem kiya gaya hai. Aap, jo ustad thay Ayatullah Bahjat aur Allama Tabatabayi, unke irfani manhaj mein yeh mafhoom wazeh milta hai ke roohani aalam aur is zahiri makan ke darmiyan ek latif talluq mojood hai.
Isi tarah Wadi e Barhut jo ke Yemen mein waqia hai, riwayaat mein badkaar arwah ke maqam ke taur par bayan hui hai. Kya is duniya ki jagah ka talluq barzakh ki Wadi e Barhoot se hai? Is par mukhtalif aqwaal mojood hain.
Is video mein aap janenge:
Barzakh ki haqeeqat kya hai?
Tajassum e Aamaal ka matlab kya hai?
Rooh ka misali jism kya hota hai?
Wadi us Salam aur Wadi e Barhoot ka roohani mafhoom
Irfan aur ulama ki rai is mawzoo par
Agar aap maut ke baad ki zindagi, roohani asrar aur barzakh ke aalam ko samajhna chahte hain to yeh video zaroor dekhein.
barzakh kya hai
maut ke baad kya hota hai
wadi us salam najaf
wadi e barhoot kya hai
rooh kahan jati hai
tajassum e aamaal kya hai
barzakh ki zindagi
najaf wadi us salam haqeeqat
wadi e barhoot yemen
rooh ka safar islam
ayatullah qazi irfan
maut ke baad rooh ka safar
islamic bayan barzakh
grave life in islam
after death life in islam
Повторяем попытку...
Доступные форматы для скачивания:
Скачать видео
-
Информация по загрузке: